Benefits Of Carrots:
Carrots are winter crop and found in different colors varying from
yellow to red. Their color is due to presence pf carotenes, especially
Beta carotenes, Beta carotenes are precursors of Vitamin A in body.
Vitamin A is an antioxidant and it is responsible for good vision,
vitamin A is very important for visual adaptation to dark in night; you
felt many times in life that if power fails suddenly we are unable to
see anything dark but with passage of time we are slightly able to see
the things in night also this visual adaptation is due to presence of
vitamin A.
You can imagine how beneficial is vitamin A for us and we can
get it by eating carrots in our diets. Carrots also contain vitamin C,
vitamin C is good for skin, heart and other vital organs, vitamin C is
required to make collagen which is connective tissue useful for
increased elasticity of skin and prevents wrinkle formation. vitamin C
is an ideal anti aging vitamin, vitamin C is also required to absorb
iron and iron is very important mineral to make red blood cells, carrots
contain a lot fiber and good for digestive tract and lowers cholesterol
levels in blood,
Carrot juice is very useful for healthy shiny skin.,
carrots are also good for children and contain essential nutrients for
their growth,. School going children often have a problem of decreased
vision and they have to wear glasses to study. If they eat carrots they
will good vision also rapid growth. It is better to eat carrots raw or
use in juice form, mild cooking doesn’t destroy its nutrients, but they
should not be cooked excessively to get full antioxidant and vitamin
content. In this page, we will displaying benefits of carrot in roman
Urdu.
Carrot maroof aam vegetable hai jis mai
taqatwar masfi ajza mojod hain. Carrot sab sey pahlai kaha paida hui. Is
barai mai muhtaqeen ka khayal hai kay yeh wati asia mimalik mai ugti
thi. In mumalik mai roos ki azad Muslim riyastain shamil hain. Yahan kay
log is vegetable ko bakasrat istimal kartai arhai hain. Shayad in kay
surkh-o-spaid rangun main Carrot jaisi mumaslat ki waja, is vegetable ka
bakasrat istimal bhi ho. Yaha sey yeh vegetable Punjab kay ird gir
pahari ilaun, kashir, Hindustan sey hotai hoi bar-e-azam asia, Europe or
shumali Africa tak phunchi.
Hindustan, Pakistan, Malaysia, Indonesia,
Africa, Fulpain, or janobi Africa mai Carrot kasrat sey kasht ki jati
hai. Hamarai mulk mai yeh vegetable bakasrat or sastai damun dastiyab
hai. Mausam sarma kay agaz mai hi Carrot nazar aajati ha or phir pora
mausam sarma kisi na kisi tor istimal main rheti hai. Kabhi Carrot ko
kucha chaba kar khaya jata hai to kbhi vegetable kay tor par handi main
pakaya jata hai. Kahi par Carrot ki kheer tiyar hoti hai to kahi is ka
halwa tiyar kiya jata hai. Carrot ko ubal kar ismai doodh or chini ya
shehad mila kar subha nashta mai khanai ka rawaj bhi aam tha. Ab Carrot
salad ka aham jazu hai.
Carrot ki kay iqsam hain. Aam tor par issey do groupon mai taqseem kiya giya hai.
Asia mai paida hunai wali Carrot size mai bari, rangat mai
gheri surkh or zaiqa mai mithi hoti hai. Europe mai kasht honai wali
Carrot choti, mulaim, is ka chilka nihayat bareek sathi, sadowl or
khubsorat laikin zaiqa or khubiyun kay lihaz sey hamarai han paida honai
wali Carrot ki tamam khasusiyat sey gari hoti hai.
Carrot ka surkh rang kay ilawa peeli,
safaidi mail or kali rangat jis mai maroon rang numayan hota hai.
Akhir-alzkar ko kanji bananai kay liye istimal kiya jata hai.
Gizai aitibar sey Carrot mai tamam khubiyan
mojod hain. Jo hamarai jism ko tandrust-o-tawana banati hain. Jism ki
shikast-o-raikhsat ki maramat or naye khalyat bannai kay amal mai ziyada
vitamins ko aham mukam hasil hai. Yeh vitamin Carrot mai sab sey ziyad
miqdar mai mojod hai. Carrot vitamin A ka khazana hai. Aik qism ka
pro-Vitamin kairoteen Carrot sey hi hasil hota hai jog Carrot kay
angraizi nam caret sey nikla hai. Jigar is caruteen kay bad main apnai
andruni amal kay zariye vitamin a mai tabdeel kar kay hamarai jismm ko
is ki munasib miqdar faraham kar daita hai.
Carrot mai Sodium, Sulpher, clorein, or
kuch miqdar ayudeen bhi mojod hai. Carrot mai mojod meadni ajzaa Carrot
sey alag ho jati hain. Carrot ko achi tarha hath sey masak kar istimal
karna chahiye. Aik so gram Carrot mai digar ajza kay ilawa 10.06 feesad
nashasta, 80 mili gram calcium, 530 mili gram Phosphorus, 2.2 mili ram
iron, 3 mili gram vitamin c kay ilawa kuch miqdar vitamin B ki bhi mojod
pai gai hai.
In ajzaa ki maqdar par zara guur karain.
Calcium or Phosphorous hadiyun ki nashunuma or mazbuti kay liyai zarori hai. Jo Carrot mai wafer miqdar main mojod hain.
Khoun kay surkh zarat paida karnai main
iron aham kirdar ada kartai hai. Iron jism mai bohot ahista or kam
miqdar mai jazb hota hai. Agar iro ziyada miqdar mai khaya jaye to jigar
or antariyun ko khatarnak had tak nuqsan puhunch sakta hai. Is lihaz
sey nihayat hi munasib miqdar main iron mojod hai.
Sardi ka muqabla karnai kay liyai nashasta
or vitamin C ki zarorat hoti hai. Yeh Vitamin masurhun ko mazbot bananai
kay liyai bai had aham hai. Carrot chaba kar kachi khanai sey daant or
masurhai bairuni tor par saf or mazbut rheti hain or qudarti tor par
vitamin C in ko tandarust rakhta hai.
Jaisa kay pehlai zikar kiya ja chukka hai
kay Carrot musfa ajzaa paye jatai hain. Alkali anasir ki kaseer tadad
main mojodgi sabit hoi hai. Yeh anasir khoun ki safai kar kay isey taza
rakhtai hain. In sey pura jism giayat hasil karta hai or jism mai
taizabi madai kam ho kar alkali or asas ka tawazun barqara rheta hai or
yun ham khud ko mutmaeen, tawana or tarotaza mehsos kartai hain. Yeh
sab Carrot khanai ki badaulat ho hai.
Carrot sey salha khoun paida hota hai jis
sey rangat surkh, chehra saf or rangat shadab hojati hai. Aik glass
rozana Carrot ka juice painai wali khatoon kay chehrai ki jild nikhri
hoi taro-taza or qudrati chamakdar nazar ati hai. Chehrai kay dagh
dhabbai dor ho kar rang-o-rukhsar surkh ho jati hai.
France Ki Khawateen mai Carrot ka istimal bara margub hai jo rawayati tor par apnai husan-o-jamal ko nikharnai kay liyai Carrot istimal karti hain.
Carrot ka juice sahet bakhsh or mujazati
asrat ka hamil hota hai. Jin larkiyun ki jild khushk or khurdari hai is
par qudrati chamak mafqud ho chuki hai, chehra murjhaya huwa hai, peela
zard rheta hai, inhai chahiyai kay Carrot kasrat sey istimal karain.
Gaar bazahir sard mehsus hoti hai, laikin qadeem itibaa nai Carrot ka mizaj garam tar baaya hai.
Sansakrat mai likhi aik kitab mai
sanyasiyun nai larkiyun mai mahwari ki kharabiyun mai Carrot ka istimal
tajweez kiya hai. Mahwari bai qaida ho, miqdar mai kam ati ho or muqarar
ayam sey buhut lait ho to Carrot kisi bhi surat mai khayen. Ayam main
baqaidgi or khul kar anai sey khwateen khud ko halka phulka mehsus
karaior tabiyat ka chir-chira pan bhi dor ho jayega.
Carrot kay beech zamana qadeem mai isqat
hamal kay liye istimal hotai thai. Medical kay talib-ilm jantai hain kay
forensic medicine (talb sharai) kay mazmun mai isqat hamal kay bab mai
Carrot kay beechon ka bator dawai rawayati istimal ka zikar milta hai is
kay liye hamal ki ibtadai ayam main khwateen ka Carrot kay beech
istimal na karain kyunkai yeh reham madar par zahreelai asrat martab
karkai is mai sakraoun ki kaifiyat paida karti hai jis sey bacha zaiya
ho jata hai.
Aayurwadik kay maaljeen bachai ki paidaish
kay waqt Carrot kay beech shehad main mila kar aurat ko pilatai thai
takai delivery aasan ho jaye. Aaj kal yeh ilaj qadeem or matrok ho chuka
hai kynkai jaded science nai ab bai shumar sahulat paida kardi hai.
Hakeem jalenows or Ibn-e-seena nai aik jaga likha hai.
“Hamla aurat agar rozana thori miqdar mai Carrot ka murabba khaye to bacha tandrust or sehatmand paida hota hai.
Amraz jigar mai Carrot shafa bakhsh asrat
ki hamil hai. Yarqan kay marz mai Carrot ka juice mareez ko kasrat sey
pilayen. Aaj kal ganne ka ras yarqan kay mareezo kay liyai tajwez kiya
jata hai.
Nakheef, kamzoor, borhai afrad or bachai
sard mausam mai Carrot ka juice rozana pi sakta hain. Carrot ko dhokar
juicer mai dalnai sey qabal neem garam pani main chand minute tak
rakhain. In Carrotun ka juice aisey afrad thand lagnai kay khatrai sey
mehfooz ho kar pi saktai hain. Carrot ka juice hamaisha taza istimal
karain.
Carrot kay istimal sey pishab kasrat sey
aata hai or kharabi jigar ki waja sey paida honai wali waram ki takleef
khatam ho jati hai.
Carrot ka yeh wasaf ho kay is sey jism mota
ho jata hai. Kamzor afrad jo motapa hasil karnai ki khuwahish rakhtai
hung ajar ka halwa khoye or daisi ghi mai banakar munasib miqdar main
rozana dopehar khanai kay bad khaein. Wo sardiyun ki ikhtimam par farba
ho jayegai.
Isi tarha jismm ko rozana jis miqdar mai
calcium ki zarorat hoti hai wo 2 kilo gandum kaikhalis atai sey milti
hai. Iskai muqablai main agar 1.5 kilo Carrot khai jaye to rozana
calcium ki matluba miqdar jism ko faraham ho jati hai.
Gajar vitamin A ka khazana hai. Is liye
bachun ko Carrot ka ras apple kay juice mai mila kar pilayen to who
taqatwar ban jayen gai.
Nazar ki kamzori dur karnai kay liyai
vitamin A ki ifadiyat tasleem shuda hai. Ainak laganai walai afrad ki
nazar Carrot istimal karnai sey mazeed kamzor honai sey bach jati
hai.baz kaisun mai nazar ki kamzori ko sehatyab hotai bhi daikha gya
hai.
Carrot maqwi aisab bhi hai or hafzai ko
taiz karti hai. Mard hazrat main khas quwat main izafa kay liyai Carrot
ka istimal bai had mufeeed hai hai. Carrot ka halwa ya Carrot ka marba
shad maid ala huwa hai is khas maqsad kay liyai khaya jaye.
Baaz ligun ko neend main chalnai ki baimari
hoti hai. Yeh marz khatarnak bhi hai or is ka jaded science mai koi
maaqul or mustaqil ilaj bhi daryaft nahi ho saka. Aadha pao Carrotai lai
kar rat ko in ko pani mai bhigo dain. Subha ko in ka ras nikal kar
istimal karain. In Shaa Allah neend mai chalnai ki baimaree duur ho
jayegi.
Carrot ko bator vegetable digar Vegetables
kay hamrah paka kar khaya ja sakta hai. Carrot ko kaddukash karkai is ka
halwa bana kar ya gajar main doudh or chawal mila kar kheer banai ja
sakti hai. Ghar main har fard rozana aik glass Carrot ka Juice peena
chahye. Carrot ka murabba hatta kay achaar bhi banakar istimal hota hai.
Carrot khanai ka bhetreen tareeqa yeh hai
kay gajar ko khulai pani main achi tarha hathun sey ragar kar saaf kar
lain. Chakun ki madad sey Carrot ki jarain jo dhagai ki surat main hoti
hain, nikal dain. In Carrotun kay chotai tukrai kar lain or inhain pani
main bhigo kar chuhlai par rakh dain.
Jab galnai kay karib hun to in main doudh
dal dain. Sath hi cheeni hasb zaiqa shamil kar dain. Jab doudh khushk ho
jaye or Carrot achi tarha gal jayen toh chuhlai sey utarlain. Aglai
roz subha nhar mun ye maqwi or zaiqai dar nashta karain.
Gajar qabz ko rafai karti hai. Is main fiber ki kafi miqdar mojod hai. Carrot ka Ju
ice, palak ka juice or is main thora sa limun juice
antariyun ko saf kar dai ga. Kuch arsa tak musalsal is ka istimal jari
rakhna chahiye kyunkai ye foree julab aawar nuskha nahi hai. Is maqsad
kay liyen do so pachas mili liter Carrot kay juice main pachas mili
liter palak ka juice or aik barai limun ka ras kafi hai.
Ishal ko roknai or is ki paida karda
naqahat k odor karnai kay liye Carrot istimal ki jasakti hai. Is sey
jism ko foree tor par zarori namkiyat, Sodium, Potassium, Phosphorus,
Calcium or Sulpher kay ilawa magnesium hasil hoti hai. Allopathic
maaljeen is markab ko ziyada bhetar samajhtai hain kay ishal kay mareez
ko D hydration kay bad jo bhetreen siyah madai bazariya drip diye jatai
hain in kay ajzaa main who tamam ashyaa shamil hoti hain jo Carrot mai
mojod hain.
Gajar ka aik jazu pectin antariyun main
leep sakar daita hai or suzish ko khatam karta hai. Is sey antariyun mai
mazar bacteria paida honai ka imkan khatam ho jata hai, balkai k bhi
nahi ati. Pachish kay mareez ko adha kilo gajar 150 mili liter pani mai
ubaal kar or gala kar namak daal kar har aaha ghentai bad ye Soup pinai
ko dain. Chobis ghentun main mareez ko shafa ho jayegi.
Pait kay keerai dor karnai kay liye Carrot
mai ajeeb salahiyat mojod hai. Khas tor par bachun main charnai jissey
chamunai bhi kaha jata hai, sardiyun main bai had bai chain kartai hain.
Kachi gajar chaba kar khanai sey quwat
hazima barh jati hai or khana, jald hazam ho jata hai. Carrot chabanai
sey luab dehan ki miqdar main izafa hota hai. Jis sey hazimai kay liye
zarori ajzaa. Enzaim vitamin or maadaniyat maida main jakar giza ko jald
hazam karnai kay qabil banatai hai.
Carrot ka baqaida istimal karnai sey maida mai alsar ki takleef nahi hoti.
Carrot ka istimal dimagi kamzori or damage khushki mai
mufeed hai. Agar khushki ki waja sey neend na aati ho to Carrot ka
istimal dimagi quwat ko bahal kar kay mazkora bala shikayaat ko khatam
kar daita hai.
Iss kay liye kacchi Carrot ka arq ya gajar ka halwa bay had
mufeed hai. Kachi carrot baqaidgae sey khanay sey 1 mah mein dimaghi
kamzoori khutum hojati hai.
More Links
Fruits Beneficial For Skin
Beauty And Makeup Tips
Fitness Tips |