In this page, you will find the how to make your teeth clean and beautiful in Roman Urdu.
Beautiful Teeth
Aap shayad sochain kay akhir muskurahat
main kiya rakha hai? to bohot kuch,aap ki quwate takhil say bhi ziyadah,
aap bi Hollywood kay filmi sitaron jaisi perfect muskurahat hasil
karnay ki koshish karain.
Agar aap kay dant paidaishi tor say qudrat ka aik perfect
namuna hain to dusri bat hai warna is bat ka imkan hai kay aap kay dant
so fisadi pecrect nahin hosaktay.
Laikin sawal yeh hai kay kiyun nahin
hosaktay? Apnay danton ko moti jaisay chamakdar banakar na sirf aap
apni khubsurti mein izafa karsakti hain balkay apni sehat aur khud
atemadi mein bhi.
Teeth Braces
Waqt guzarnay kay sath rairhay dant ghair
hamwar tariq say ghisna shurooh hojatay hain jis say masurhay sujnay
lagtay hain ya dant hi zaya hojata hai. tairhay danton kay bais ghiza
bhi mukamal tor par nahin chab pati jis kay bais dusray masail bhi janam
laitay hain jaisay jabron kay joron ka dard, sar dard aur nizame hazam
mein kharabi.
Das baras qabal kay muqablay mein ab braces
ziyadah jaded tariqay say lagai jatay hain aura ram deh bhi hain.
Shafaf plastic kay bracket istemal karnay say muskurahat waqt dhat ki
chamal zahir nahin hoti aur “tangol braces” jo danton ki pusht par
pehnay jatay hain, baligh professionals istemal kartay hain agar aap kay
danton ka masla ziyadah shaded hai to hosakta hai kay aap kay jabron ki
banawat durust karnay kay liye surgery ki bhi zarurat parjai.
Braces ko fit karnay ka tariqa kar bohot
tez raftar hai. doctor aap kay danton par aik kamzir tezab milta hai jis
say dant khurduray hojatay hain aur woh braces ko sakhti say rok saktay
hain phir hard ant par alag alag bracket ko gulu say jor diya jata hai
phir mehrabi shakal kay tar ko chotay chotay elastic band ya dhati tar
ki madad say danton par fit karkay mazbuti say bandh diya jata hai.
Taron ko kasnay kay liye mariz ko harm ah
doctor kay pas ana parta hai ibteda mein ye braces na sirf taklif deh
mehsus hotay hain balkay ajnabiyat ka ahsas hota hai aur thori bohot
sujan bhi ajati hai. laikin chand hafton kay istemal kay bad in ki adapt
parjati hai. harm ah doctor kay pas anay aur tar ko kasnay kay bad woh
aik roz tak halka sa dard rehta hai yeh silsilah aik say do baras chalta
hai laikin akhir mein is kay umdah nataij daikh par aap sari taklif
faramosh kardain gi jab aap kay dant motiyon ki jhilmil karnay lagain
gay.
Chini Kay Veniers
Dant Ka Dard
Vaners kay zariye na sirf danton kay dhabon
aur urjanay walay rangon ka ilaj kiya jata hai balkay turay huway
gutkay huway aur tairhay mairhay danton ki taklif kay baghair maramat
bhi ki jati hai. Is sey dant ka dard bhi theak hojata hai aur dant ki takleef bhi.
Porsilin veners akhir kiya cheez hai? Asan
alfaz mein yeh putlay nim shafaf khol hotay hain jo aap kay danton par
mustaqlan chaspan kar diye jatay hain aur aap ki hasbe marzi jitna
chahain inhain safaid kiya ja sakta hai is terha aap kay chahray ko
thora say ubhar mil jata hai.
Is amal kay aghaz kay waqt dandan saz
maqami tor par danton ko sun karkay mutaliqa dant par say panch mili
meter hissa utarlay ga phir aap kay dant kay liye vener bananay mein aik
haftay sirf hojata hai chunkay ibtedaee marhalay mein aap kay dant kay
upper thora enamel ghis diya jata hai, is liya quadrati tor par aap ka
woh dant ziyadah hassas hojata hai taham arzi tor par vennier laganay ki
koee zarurat nahin hoti.
Corwning Glory
Cowning ko baz oqat keeping bhi kehtay hain
yeh aik tariqa hai jis kay zariye aik dairpa aur masnuee khol tayar
kiya jata hai jisay turay ya nuqsan pohonchay huway dant par is terha
charha diya jata hai kay woh dant daikhnay mein bilkul asli malum hota
hai dant ko crown karnay kay liye pocilin,chandi aur sona jaisi ashia
istemal ki jati hain.
Dant ko crown karnay ka amali tariqa bohot
tawil hai. Dandan saz kay pas pehli martaba janay par woh cap karwanay
walay danon ka aik impression la laita hai. is chap ko danton ki
laboratory bhaij diya jata hai jahan mutaliqa dant aura as pas kay
dusray danton ka bhi durust model tayar kiya jata hai chunkay mustaqil
crown karnay mein waqt sirf hota h ai. Is liye mutaliqa dant par aik
arzi crown fit kardiya jata hai takay dant ko mazid nuqsan na pohonch
sakay.
Amuman mustaqil crown bannay mein do say
tin haftay darkar hotay hain mustaqil crown ki fittin gbhi bohot mehnat
talab hai. pehlay arzi khol utar diya jata hai phir mustaqil crown fit
kardiya jata hai aur is ki sakht, aram, ya khanay mein kisi qisam ki
taklif kay hawalay say is mein mamuli raddo badal kiye jatay hain.
Jab dandan saz aur mariz donon hi is bat
par muttafiq hojatay hain kay crown ki fittin gbilkul durust hai to phir
isay gilu ki madad say mustaqlan chipka diya jata hai. Aur agar aap ka
dandan saz mahir hai to aap kay asli aur naqli danton kay darmiyan koee
bhi farq mehsus nahin karay ga.
Bleeching
Ghiza aur cigerate danton ko nuqsan
pohonchatay rehtay hain aur safaid o chamakdar danton ki chamak ko mand
kardaitay hain isi liye ab bohot say log bleeching karnay lagay hain.
Aap ka dandan saz aap ko bataiga kay is maqsad kay liye jal ko danton
mein ki sterha bhara jai aur kitnay arsay kay liye, sirf aik mein hi aap
ko is kay nataij nazar anay lagain gay aur aglay haftay mein is kay
behtarin nataij baramad hojaingay.
Umdah Brush Say Behtar Kuch Nahin
Umdah tooth brush, mayari tooth paste aur brush karnay ki
sahih technique istemal karkay apnay danton aur masurhon ko sehat mand
rakhsakti hain aur daikhnay walon ko woh khubsurat bhi lagain gay.
Danton mein surakh aur pleak ka hojana inhain kamzor kardaiita hai aur
is say masurhay bhi mutasir hotay hain is liya aisay tooth paste ka
intekhab karain jo floride par mushtamil ho. Floride surakh aur pleak
kay khilaf danton mein mazahimat paida karta hai baz tooth paston par
khususi tor say likha hota hai kay woh surakh aur sance ki bad bu kay
khilaf, difaee salahiyat paida kartay hain. Baz tooth paston mein try
silin, shamil hoti hai.
More Links
Canola Oil
Mehndi
Beauty And Makeup Tips
|